Hunza Travel Guide
Complete Guidance for all kinds of trips to Hunza, Heaven on Earth!
The mayor of Karachi is saying that if the people of Hunza Gilgit vote for them, they will turn Hunza into Karachi!
Maafi de do Hunza walon ko!
Wo wahan bht khush hain saaf suthray natural and peaceful environment mein!
Nahi chahye unhay Hunza, Karachi jesa!
Jahan Phone snatching, bhatta khori, khulay gutter aur tooti sarkon k siwa kuch nahi !
Apna aap aur apnay khayalaat karachi hi chor k aaen aur pehlay apnay sheher Karachi ki halat theek krain. Apko hunza mein intrude krney ki zrurat nai.
Ajeeb! Bolnay se pehlay sochtay bhi nahi k kitna mazaq urray ga hamara!
CM Punjab ki tarah Karachi ko Lahore jesa develop krtay tou samajh bhi aati. Even then aik pahari ilaqay ko sheherki tra bananay ki tukk kia hai?
Na bijli, na gas, na paani...sheheron mein hai kia jo aap ne Hunza ko sheher banana hai?
Pehlay jahan apka raaj hai wahan misaal qaim kr k dikhaen, phir iss tra ki bongiyan marain!
Agay pichay tou hosh hota nahi k Hunza naam ki jaga bhi hai, vote lenay 5 saal mein aik dfa pohnch jatay hain sub k sub acha bannay.
Burrrrrh huh!!!
Click here to claim your Sponsored Listing.
Category
Website
Address
Ferozpur Road
Lahore