Sheetal Rakwal

Sheetal Rakwal

Share

Photos from Sheetal Rakwal's post 10/05/2026

Happy Mother’s Day Mummy ❤️
But sach kahun… mujhe aapko special feel karwane ke liye kisi ek “Mother’s Day” ki zarurat nahi hai।
Mere liye toh meri har dua, har khushi aur meri poori life hi aapse shuru hoti hai aur aap par hi khatam hoti hai। 🥺
Aap sirf meri maa nahi ho, aap meri duniya ho, meri himmat ho, meri sabse badi taqat ho।
Jab bhi life ne mujhe todne ki koshish ki, tab aapne mujhe sambhala।
Jab duniya ajeeb ajeeb baatein karti thi, log ulta seedha bolte the, tab aap hamesha hamare saath khadi rahi। आपने कभी लोगों की नहीं सुनी, आपने हमेशा अपने बच्चों पर भरोसा किया। ❤️
Papa ke jaane ke baad bhi aapne hume kabhi unki kami mehsoos nahi hone di।
Aapne hume maa ka bhi pyaar diya aur papa ka bhi।
Hum chaaron behno ke liye aapne jo kuch kiya hai na, uska shukriya main kabhi shabdon mein nahi bata sakti। 💔
Aapne khud kitna kuch saha hoga, kitni baar chupke se royi hongi…
Lekin hamesha hume hasi di, himmat di aur pyaar diya।
Mummy, agar aaj main strong hoon na, toh sirf aapki wajah se hoon। 🌸
Aapka mera saath dena, mere har kaam mein mujhe support karna, mujh par trust karna… ye sab mere liye duniya ki sabse badi blessing hai।
Main shayad itna sab saamne kabhi bol nahi paati, but sach ye hai ki mujhe duniya mein sabse zyada sukoon sirf aapke paas milta hai। 🫶🏻
Bas Bhagwan se ek hi dua hai…
Aap hamesha khush raho, healthy raho aur hamesha hamare saath raho।
Kyuki aap hi hamari duniya ho Mummy… Happy Mother’s Day ❤️🥺

24/04/2026

Kaise seene se lagau ke kisi aur ke ho !😌❤️‍🔥

❤️

Want your public figure to be the top-listed Public Figure in Jammu?
Click here to claim your Sponsored Listing.

Category

Website

Address


Jammu