Baab-e-dil
Mujhe chhor de mere haal par,tera kya bharosa hai charagar,
Ye teri nawazish-e-mukhtasar,
mera dard aur badha na de !
Mera azm itna baland hai, k paraye sholo(n) ka dar nahi,
Mujhe khauf aatish-e-gul se hai, ye kahi(n) chaman ko jala na de !
Mere humnafas, mere humnawa, mujhe dost ban k daga na de !
Main hoon dard-e-ishq se jaan-ba-lab, mujhe zindagi ki dua na de !
Wo guzra zamana fir se rubaru hai,
Tera chehra, teri baatein, tu hi tu hai !
Wo haseen Raat, wo chandni raat,
meelon ka faasla tha, do j**m magar ek rooh hai !
Be-hangam si baatein aur wo tasawwur-e-be-hijabana,
Sitaaron ka safar aur humraah maah-ruu hai !
Na koi thakan, na neend ki khumari,
Wo har guzra fasana khoob ru hai !
Azal se bhi puraani baat ho jase,
Teri aankhon ki gehrayi se ye jo guftugu hai !
Amanat hain teri ye nazrein hamari,
Nigaah-e-be-wuzu ko bas teri hi justuju hai !
Ek shamma-e-ehsaas hun main,
Mujhe tez hawaon se na aazmaa !
Maana k teri majburiyan hain, magar,
Meri ghairat ko, na aazma !
Aksar nadamat hi haath lagte hain,
Tu apni muhabbat ko, na aazma !
Jaag uthega tera muqaddar bhi ek roz,
Guzre zamaane ki yaadon ko, na aazma !
kabhi apne charagon se bhi lau lagaya kar,
Roz sitaron ko, na aazma !
Subha-o-shaam bhool jaate hai,
Tere zulf k aseer aasmaan ki chhaon bhool jate hain !
Manate hain jashn-e-zindagi saal me ek roz, magar,
Zindagi jisne ata ki, usi ka paigaam bhool jate hain !
Shokh mizaji toh achhi baat hai, lekin,
log bure haalaat k aadaab bhul jate hain !
Tumhari majbooriyo ka ehsaas hai mujhe,
Lo aankhein khol li, ab khwaab bhool jate hain !
Tere rukhsaar k til pe ghazal likh doon,
Adab-aadaab k paas-o-lihaaz bhool jate hain !
Had-e-nigaah se dur kahi manzil hain meri,
Aye saahil-e-veeraan mujhe kuch der thaharne de !
Kaliyon ka hi hota hai khoon gulistaan me,
Aye dayaar-e-gulistaan, ab abr barasne de !
Raah k kaanton ko zevar ki tarah tu rakh ,
Honge ye hi tere gumkhaar, manzil ko pahuchne de !
Ho jayega tere bhi gham ka madawa ek roz,
Aye mere sanam ,thoda, ye wakt guzarne de !
Qismat ki lakeeron pe toh emaan hai mera,
Aye haakim-e-wakt, meri Taqdeer sanwarne de !
Khud farebi ka hunar seekh Raha hoon main,
Teri tasveer se apne dil ka rafu kar raha hoon main !
Dil ko samjha k ab thak gaya hoon main,
Tu na chaahega mujhe jase tumhe chaahta hoon main !
Kya hi baat hoti gar tu haath thaam leti,
Toofan utha diya hai tere inkaar ne Sanam !
Wo aag bujh jo jati, toh qaraar aata,
Bhadka diye hain sholay teri ek haay ne Sanam !
Har baat thi tarannum jab na-aashna the hum,tum,
Bijli hi gir gayi hai, ban k hamraaz aye Sanam !
Lahja alag hi hota gar tujhko jeet jaate,
Lafzon me tezi aa gayi, khud ko haar k sanam !
Kya khaak shayari thi, jab tak mile na the,
Shayar bana diya hai mujhko, tere inkaar ne Sanam !
Sahil ka gharonda hoon,
Aye moj-e-samandar tham ja !
badi hasrat se, ek nanhe farishte ne banaya hai, thoda sa saham ja !
Zor-e-baazu na kaam aayega,
Zor-e-zabt aazma, tham ja !
Click here to claim your Sponsored Listing.
Category
Website
Address
Kolkata