Filhaal Zindagi
जिंदगी भले ही ना मिली हो मन चाही...
ख्वाब तो खूबसूरत बड़े हमको हैं मिले...
जिसकी जरूरत थी, पाया न हमराही...
कद्रदान लेकिन बहुत हैं, कैसे करें गिले?
प्यार मिलने की खुशी है, साथी न मिलने का गम भी...
रब का करम मानते हैं, लगता है कभी कभी सितम भी...
Zindagi saath nibhati agar to khushi se mar bhi jaate
Zamane mein kuch achcha hum bhi kar guzar jaate…
Magar zindagi se hamesha bewafai hi mili hai !
Naseeb mein apne shayad rusawai hi likhi hai !
Ladne ko tayyar hain par kisse ladein ?
Fislan bahut hai, kaise upar chadein ?
Chahat to hai dil mein sabko saath lekar aage badhein…
Magar apni is chahat par kaise rahein hum adein ?
Ummeed to rehti hai lekin hausla kyun nahi rehta ?
Sab soch samajh lete hain, humse faisla kyun nahi hota ?
Ab gham ka hona nahi satata hai, umr ke saath sabr aa hi jaata hai…
Bus baichaini to kayam hai, rab jaane…jaane kya hoga hamara hashr ?
Zindagi se minnatein, uski shikayatein aur hamari wafaon ka kya hoga kabhi asar ?
Click here to claim your Sponsored Listing.
26/04/2023